Sadqa Karne Ka Tarika - Sadqa Kisy Diya Jay

 Sadqa Karne Ka Tarika - Sadqa Kisy Diya Jay


Hazrat Abu Zar Ghaffari (R.A) kehte hein ke Rasool Allah (P.B.U.H) ne irshad farmaya: "Har Muslim admi par har din sadqa karna zaroori hai" Logo ne kaha "A Allah ke Rasool (P.B.U.H) hamare paas itna maal kahan he ke roz sadqa karein? Aap (P.B.U.H) ne farmaya ke sadqa karne or sawab hasil karne ke sources bohat hein (Sirf maal hi nahi). Subhan Allah, Alhamdulillah, Allah Hu Akbar or La Ilaha Illallah parhna bhi sadqa hai. Doosro ko naiki ki talqeen karna, gunaho se rokna, rasto se kate waghera hatana, kisi behre admi ko zor se bol kar apni baat sunani, andhe admi ki rehnumai yeh sab bhi sawab ke kaam hein. Admi ko is ke maqsad silsila mein rehnumai karna or museebat zado faryadi ki madad ke liye dorna bhi sadqa hai. Naiz kisi kamzor ke bojh ko jo is se na uthta ho use apne  hath ya sar par utha lena bhi sadqa kehlata hai. Upar ke tamam mazkoora kaam agar tum karo to maali sadqat ke barabar sawab mile ga.

No comments

Powered by Blogger.