1st Muharram Se 10 Muharram ul Haram Ashura Ke Wazaif
1st Muharram Se 10 Muharram ul Haram Ashura Ke Wazaif
Hamein to hukum rabbi hai ke Jumma Mubarak ki pehli azaan ke hotay hi hum bazar band karkay khareed o frokht khatam kar dein magar afsos hamaray mulak mein chand barri marketon ke ilawa asar bazar, hotels, aur parks khulay nazar atay hain' jahan log khareed o frokht karte' khatay' peetay aur gappiyan lagate dikhayi dete hain. yeh sab –apne deen se doori aur maghrib ki zahiri chuka chond se mutasir ho kar maghribi tarze zindagi ikhtiyar karne ka natija hai jis ka anjam yaqeenan bohat bura hai. Lihaza hamein chahiye ke jaisay hi Jumma Mubarak ki azan ho to sab kuch tark karkay Allah ki yaad mein nikal parain aur apne Allah ke ghar yani masjid poanch jayen. Jumma Mubarak ke din ke kuch aisay aamaal hain jin par amal karne se insaan ki duniya Jahan ki pareshaniyan khatam hojati hain. Jin mein se sab se pehla aur sab se bara amal Darood Sharif pak hai. Yeh amal aisa hai ke chahay kisi bhi din karen, kisi bhi gharri karen, kisi bhi lamha karen. yeh qubool hi qubool hai. lekin Jumma Mubarak ke din Darood Sharif pak parhnay ke to kya hi kehnay. Quran pak mein irshad khuda wandi hai. tarjuma : be shak Allah taala aur is ke farishtay nabi kareem SAW par Darood Sharif bhaijtay hain. ae imaan walo! tum bhi nabi akrm SAW par Darood Sharif bheja karo aur salam arz kya karo .
Post a Comment